 |
Active Member |
Joined: Wed Sep 22, 2010 12:58 am Posts: 102 Location: Kanpur and Ambala
|
BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA
Khushiyo ka khazana hota tha. Chahat chand ko pane ki, dil titli ka diwana hota tha. Khabar na thi kuch subah ki, na shaamo ka thikana hota tha. Thak-haar k aana school se par khelne bhi jana hota tha Dadi ki kahani hoti thi pariyo ka fasana hota tha Barish me kagaz ki kashti thi Har mausam suhana hota tha Har khel me sathi hote the Har rishta nibhana hota tha Papa ki wo daante galti par Mummy ka manana hota tha
Gam ki zuban na hoti thi na jakhmo ka paimana hota tha Rone ki wajah na hoti thi na hasne ka bahana hota tha Ab naa rahi wo zindagi.. jaisa BACHPAN KA ZAMANA HOTA THA.
|
|